The Mango tree

Author: Sumana Chakrabarti

Main apni nani ke gaaon gayi thi. Waha ek vidhwa chudail ki afwaa thi. Par main bhoot pret chudail aur aatmaaon me believe nahi karti thi. Raat ko koi bhi us aam ke ped ke paas nahi jata tha. Maine ek din apni mummy aur nani se kaha ki main akele gaaon ki sair par ja sakti hu. Mummy ne mujhe zor se kaha ‘ us am ke ped ke paas mat jana ‘ Main na kehkar chali gayi. Ghoomte ghoomte main us am ke ped ke paas pahuch gayi. Uske paas ek pond tha isliye mujhe samajh nahi aaya. Maine dekha ek aurat safed sadi pehni hui us pond ki taraf dekh rahi thi. Mujhe laga tha woh machliyon ko dekh rahi hongi par waha toh koi machliyaan thi hi nahi. Phir woh peeche gayi. Meri taraf dekhi aur zor zor se haste haste lambi hoti gayi. Maano pahad se bhi unchi. Main bhaagkar ghar aa gayi. Maine sabko yeh baat batayi. Nani ne mujhe bola ‘ jab uske pati ki death ho gai thi tab woh us ped se latak ke suicide kar li thi. Tab se jo bhi waha jata hai woh use maar deti hai. Achha hua tum sahi samay par aa gayi. ‘Nani ki baat sunne ke baad se mujhe bhi bhooto pe vishwas ho gaya.

Author: Sumana Chakrabarti