My home

Author: Mahi padmraj

Hii mera name maahi hai me palanpur ,gujarat se hu meri family me me meri 2 behne our meri mom rehte hai Hum Kiraaye ke makan me rehte he ek din hum naye kiraye ke makan me shift huye Wo ghar achcha tha but waha Hume kuchh achcha mehsus nahi hua Ek din meri mom kisi kaam me bahar gai our hum 3 behne ghar par akeli thi raat ko hum hasi majak karke raat ko so gaye wahan pehla hadsa meri sabse badi behen ke sath hua aadhi raat ko uska name digma tha to kisi ladies voice me use aadhi raat ko kisine jagaya ki digma uth baad me wo ghabra gai par hume nahi bataya kyu ki hum chhote the to darr jate 2 din baad fir se aadhi raat ko kisine usko aavaz di firse abki baar ladies voice nahi kisi man ki voice thi fir se vahi kaha ki digma uth abto mom bhi aa chuki thi to usne saari baat mom ko batayi Meri mom ne meri badi behen ko bataya par mujhe nahi kyuki me chhoti thi to darr jati Baad me mom ne aass pass ke logo se pu6a to aass pass valo ne kaha ki yaha par ek ourat apne chhote bachche ko lekar jal gai thi baad me meri family valo ne iss baat par zyada dhyan nahi diya ab to wo chudai raat ko sone bhi nahi deti Wo raat ko aa kar darvaza khat khata kar chali jaati me fir bhi is baat se anjan thi mujhe abhi bhi kuch pata nahi tha our kuch din baad mujhe bohot hi bukhar aaya our mujhe ICU me rakha gaya baad me ghar par aa kar mom ne kaha ye makan hum thode din me khali kar denge ab wo bohot hi pareshan karne lagi thi Humare samne ek aunty apne family valo ke sath rehti thi abto summer chal raha tha to wo aunty apne gate ke pass so rahi thi to us chudail ne aunty ka hath joor se khincha to wo aunty gabra kar dusre din apne gaav chali gai 2 3 mahine baad me hamare vaha meri masi kaa ladka aaya huaa tha to hum apne chhat par so rahe the hamari chhat ki sidio ke pass hi niche Kitchen ka darvaza tha to raat ko mere bhai ko ye mehsus hua ki Waha par koi sidiya chadh raha hai our utar raha hai our kitchen ka darvaza andar se koi khat khata raha hai usne dusre din saari baat batayi our vahan se chala gaya our humare pass ek talking parrot tha wo iss makan me mar gaya humare pass dog bhi tha mom ne kaha ab humare kutte ki baari aaye usse pehle hum makan khali kar de our humne wo makan khali kar diya jab makan khali kar ke hume pata chali ki wo ourat wahan par white saree me ghumti rehti hai aaj bhi wo ghar me koi nahi rehta ||
Ye ek real story hai jo hamare sathe ghat chuki hai

Author: Mahi padmraj