Khaufnaak janwar

Author: Shahezad

Hi dosto Mera Naam Shahezad Khan hai mein ek Marketing executive hu isliye mein aksar clients se Milne ek jagha se dusri jagah jaata rehta hu. Ek din ki baat hai kaam ki wajah se mein late hogaya aur shaam hogayi mein ghar jaane ke liye nikala par raste mein bike kharab hogayi ye shukar hai ek kazba karib tha to garage par gaadi ban gayi lekin in Sab cheezo ke chalte kafi waqt hogaya mujhe mechanic ne bataya ke babuji aaj raat yahi ruk jaye raste mein khatra hai aur aaj poonam ki raat hai. Maine haste hue kaha ye Sab kuch nahi hota aur nikal pada apni manzil ki taraf mujhe aaj bhi yaad hai pura chand asman par tha aur thandi hawa chal rahi thi thodi dur gaya hoga main achanak sadak ke beech mein ek janwar baitha ek gaye ko khaa raha tha aur gaye zinda thi sadak har khoon hi khoon tha meri ki headlight mein dekh main sahem gaya main ekdum khamosh hogaya maano jam gaya lekin achanak us gaye ki jaan ke saath ek hawnak cheek nikali aur wo janwar ka dhayaan ab meri taraf gaya wo jab khada hua to uska khad 7 feet se jayada tha aur muh kisi kutte jaisa magar Bada aur nookile daath aur paanje aankhe ek dum peeli. Ab wo meri taraf badne laga mene bike start karli wo jaise hi mere taraf lapka maine zorse gaadi bhagayi lekin wo janwar ya bala Mera peecha kar rahi thi main 100km/hrs tak bheed gaya lekin side glass mein saaf dikh raha tha wo mere peeche hai. Aur issi chakar mein meri bike ka balance bigad gaya aur Mera accident hogaya mere sar se khoon nikal raha tha main behosh hogaya lekin usse pehle us janwar ki Rone ki awaz soni. Jab hosh aaya to main hospital mein tha pass ke gaon waalo ne mujhe bharti karwaya tha samne ammi abu fikarmand nazar aaye lekin mere hosh mein aane ke baad unhone chain ki saas li

Author: Shahezad