horror guest house

Author: aina

Ye waqia mere sath 2017 me pesh aya jab school ki taraf se vocations se pehle picnic par Jane ki offer ki gayi tou mai aur mere dost bohut exited thhe ke ab picnic par tou bohut maza and wala hai to maine aur mere friends ne mil kar decide kiya ke hum zaror jayenge to meri ek dost ne jab internet par us jaga ke bare me search kiya tou woh Jaga dikhne mai tou bohut achi lag rahi thi aur baki sab bhi theek tha lekin sirf ek baat mujhe ajeeb lagi ke os guesthouse ke aas pass koi aur guest house nahi tha jab ye baat mene apne friends se share ki to unho mujhe kaha ke relex yaar abhi hum wahan gaae nahi ke tumne ajeeb ajeeb baten bolni shoru kardein kher maine socha ke agar aas pass koi guesthouse nahi hai tou koi resturant to hoga hi kher hum ne decide kiya ke hum parso picnic par zaror jainge mene ghar aakar internet par os jaga ke bare mai search kiya tou mujhe koi information nahi mili parso humne Jane ki tayari kar li aur hum guest house ke liye rawana hue wahan pohonch kar hum ne aram kiya aur phir hum shaam ko uthe har taraf sannata chayaa hua tha mere dost so rahe thhe mai ne socha ke aaj maimaloom karongi ke akhir is jaga aisa kiya hai ke yahan es guesthouse ke siva koi aur guesthouse kiuon nahi hai jab me bahar nikli tou bahar ek baccha khara tha aur mujhe ghoor ke dekh raha tha mai ne os se pucha beta aap yahan kiya karahe ho os ne koi jawab nahi diya aur meri taraf badhne laga jab mai bhagne lagi tou woh bhi mere peche bhagte hue aaraha tha jab mai apne guest house ke pass pohonchi to won jal choka tha meri halat bohut kharab thi mai bhagte bhagte ek highway par pohonchi tou wahan koi nahi tha mai bohut Dari hui thi tou mai ek darakht ( tree ) ke neche choup gai shukar ke woh baccha wahan nahi aya woh os guest house ke pass ruk gaya achanak ek gari wahan ati hui dekhai di tou mai ne jaldi se uth kar os gari se lift mangi shukar ke woh gari ruk gai aur mujhe mere ghar tak lift di aaj bhi jab main os waqiye aur os bacche ko yaad karti hoon tou mere rongte khare hojate hain aur tab se lekar aaj tak phir mujhe internet par kabhi woh website nahi mili

Author: aina