A scary home

Author: Asma

Assalamualaikum Mera naam Asma hay ye kahaani Meri or mujhsay do saal choti behen ki hay ye aaj say 6 months pehlay ki baat hay .hum Pakistan may rehtain the humaray maamu London may rehtay the or wo umrah ki gharz say Saudi Arabia k liye rawaana hwey humay unsay mil ney ki chahat bhi bhot thi layhaaza humray waaldain nay Tay Kia k wo mujhay or Meri behen Amna ko Saudi Arabia bhejain or wahaan humaray maamu ki jaanay wale k pass ek Ghar tha to yahi faisla hwa k hum dono ek month uss Ghar may reheingin apney mamu k sath phr hum Saudi Arabia aa pohonchay or us waqt humary mamu Makkah mey hi thay or hum Jeddah may .
Wahaan Jo Ghar humay Mila tha mamu k dost say usspar hum gain mamu k dost wahaan uss Ghar may nhi rehtay the khair hum jbh wahaan gaain pehlay to wo area dekh Kar humay ajeeb laga lekin Ghar indar say bht pyaara tha or mamu k pata Chala k abh wo Madina bhi jaain gain to hum uss waqt akelay hi thee .humney Socha k hum yahaan kesy rahaingain akelay lkn jis ghar may hum thin wo kafi safety tha isslie hum ziada pareshan nhi thin or hum uss Ghar mey rehnay lagi shuru k do char din bht araam say ghuzra lkn wahaan shor bht hota tha kabhi car k horn ki awaaz or kbhi darwaazon ki humey ghr may saari sahultain thi or kisi kaam say bahir bhi nikalnay ki zaroort na thi uss Ghar may windows blocked thi Jo khool hi nhi paati thi ek room ki window theek thi . humary Ghar k ird gird bilkul sunsaan tha raat ko kai baar Meri behen mujhy nind say jaga deti or kehti mujhay bht dar lagrha hay jesay ki yahaan koi hay khair wo darti bht thi isslie meney koi khaas waja nhi smjhi or issi tra humney koi do week hogiye lekin hum ek chiz say pareshan thay k ye awaazain q aati hain hum ney ye saari batein kisi ko isslie nhi batai k har koi humaray liye pareshan na ho or abh mamu bhi ek haftay baad yahaan aanye wale the or phir ek din car k horn ki awaaZ bhtt aarhi thi or ye saari awaazain us Ghar k pichlay side say aati thin hum kabhi window khol Kar dekh hi nhi paai k wahaan Kiya hay or q awaz aati hay bcz wo block thi phr. jis din ye awaaz bht aarhi thi Jo taqreeban 15 min say rukk hi nhi rhi thi uss waqt raat k 1:00 bja thay humnay Socha k humey ek baar dekhna chaye ye horn q nhi rukk rha uski awaaz bht tezz thi lehaza Amna dar ney lgi lkn hum nichay gain or samney to kuch nhi tha sab normal tha lekin wo horn ki awaaZ abhi bhi humaray Ghar k back side say aarhi thi or hum wajaan gain to dekha k… Wahaan to na koi car na hi koi Ghar kuch nhi tha bal k sirf ghaney tree thay uss wqtt hum bhttt dar gain k hum Jo ye smjh rhay the k humaray Ghar k back side say ye awaazay aati. Hain lekin yahaan to kuch nhi hum Ghar gain or allah ka zikar Kiya Ghar may Quran ki tilawat lagai or subha hone ka wait Kiya q k uss wqt mamu ka phone bnd tha wo so chukay they humey subha Tak dar ki waja say nind hi nhi aai or phr subha hotey hi mamu ko sab bataya mamu bohat pereshan hwey or kehnay lgay may abhi Madina say lkn rahaan hu or 5 ghantay Tak aajaonga or hum mamu k aaney ka intazar krnay lagay khair uskay baat koi awaaz nhi aai or sab sahi raha .. it’s all better due to quran’s tilawat I may kindly be informed you all that if any problem is coming just always remember Allah almighty ?

Author: Asma