Ek tha Bhangi

Author: Fazila khan

Taqreeban 5-6 saal ki baat hay me Pakistan me rehti hun Karachi . Hamare Nani k Ghar India see Ishtar dar aaye huye thay jab wo wapis jarhe thay to unko station chorne mere mamu or dosry baray gents jarhe thay Meri anty Ghar ki safaai krhe thi kyukay Ghar mehmaano ki waja see kaafi ganda hugaya thaa Nani k banglow k bahar ek gate area hay jesi hi mamu ki car gate see bahar gayi anty b bahar jakar dekhnay lagi k yeh log Gaye. Nani ka Ghar main road see corner ka Ghar tha Meri anty ne dekha k waha ek bhangi jhaaro lagaraha tha unhone socha subha k 4 bajay Kon jhaaro lagata hay bhaaee. Wo sub bhoolgayi bus uski janib dekhrhe thi jese to unko apni jaanib raaghib krha hay wo hosh me nahi thi or usi ko dekhay jarhe this achanak us bhangi ne unko dekhliya or unhone Jo dekha wo naqibil-e-bayan tha k uski ankhay khoon me latpat thi or wo bht hi tez raftaari se unki street ki janib jhaaro Marta hua bhaag raha tha unhone jhaaro wuhi phenki or wo shor machati hui Ghar me aaii. Main gate khula hi chordea jispr unko Meri ammi see kaafi daant b pargayi k koi chor b ghus skta hay yeh kia harkat kri he tmne unhone chilla chilla kr bataya k wo agaya wo agaya subne pocha Kon agaya to unhone bataya k bhangi agaya. Sub ne bahar ek sath jakar jab main road ki janib dekha to waha andhere , sannatay or khamoshi k elawa kuch b nah tha. Phir ammi foran ne ayat ul kursi ka wird krke poore Ghar me dam krke andar agayen or sub sogaye.

Subha jab mamu aaye station see chorke to unko tamam baatay batai to unhone bataya k kuch saal pehlay ek bhangi jhaaro lagata tha to usko ek truck ne kuchal ke maardiya tha shyd wo bhangi isi waja se rozana usi tym k mutabiq jhaaro laganay ajata hay.

Author: Fazila khan
Author Url: Click Here